Yaad Ho….

March 6, 2008

Hari-hari ghaas pe volleyball

Khelte hue ball kam tumhe zyada

Yaad reh jaayega dekhna

Sapna kuch adhoora, kuch aadha

 

Tumhaare haathon ka us chai ki pyaali

Se jalna jo garam bhi kahaan thi?

Jaanboojh ke us kameez ko pehanna

Jisme do-chaar button bhi kahaan thi?

 

 

Peele ret pe safed thapedon ka umadnaa,

Aur tumhara dobaara darr jana

Ground floor pe chhoti-see awaaz,

Aur tumhara bhaagna, siharr jana

 

Garmee ke dino me bijli gul aur pareshan

Si tum khadi hoti, baith jaati

Meri har chhoti see chhed-chaad

Hansti, Naaraz hoti, ainth jaati

 

Safed chaadar ka tumhe peela-sa dikhna,

Aur kaagaz ke tukde badnaam se,

Din-bhar safaai-safaai chillana,

Kaam se pyaar, nafrat aaram se.

 

Kaagaz ke naao paani me doobana,

Aaj fir mitti geeli ho baithi hai

Dekho tedhi aangan khud naach rahi hai

Tu jo uski gali aa baithi hai…….

18 Responses to “Yaad Ho….”

  1. Deepshikha said

    Achchha hai….tinge of the style of nirala..”bhikshuk” yaad hai na??….pehla stanza ek baar mein samajh mein nahi aaya tha jab alag alag line ko alag sentence maan liya tha…
    Anyways you write well in hindi as well…simple and eloquent…i liked it..

  2. tauseef said

    congrats for starting this blog …..nice post nai bolunga kyunki ull have to make me understand it properly …kuch kuch jagah kya kahna chah rahe ho im not able to understand ……

  3. anurag said

    waah! bohot dino baad koi hindi mein kavita padha…aasan si bhasha istemal karne ke liye shukriya. 😀 tumhe to pata hai meri hindi bhi kamzor hai fir bhi kuch tippadi karne ki koshish karta hoon: ek achcha prayog aur ise padh ke aisa laga ki tum aaj ke navjawano ki nas pakad lete ho aur shayad isiliye main tumhare inspiration (sry hindi nahi yaad aa raha) ko pehchan liya hoon aur shayad tum bhi. 😛
    aur haan agli baar hindi mein kuch likhna to hindi lipi ka prayog karna. 😀

  4. hindihainhum said

    DEEPSHIKHA
    Waah! Thanks. ‘Bhikshuk’ hum 1 elocution me bole the aur prize bhi nahi jeete the, isliye kaafi yaad hai.
    Waise, waah……….

  5. hindihainhum said

    TAUSEEF
    samjhayenge. zaroor samjhayenge. kyunki “achcha, bahut achcha” sunna hai.. 🙂

  6. hindihainhum said

    ANURAG

  7. hindihainhum said

    ANURAG
    Inspiration ki hindi hai ‘prerna”. Mile ho “prerna” se? Kabhi aana, milwaayenge! waise waahwaahi ke liye dhanyawaad. Hausla-afzaahi ke liye shukriya..

  8. Pranesh said

    ummid hai aur kavitayen likhoge…

  9. hindihainhum said

    PRANESH
    Mujhe bhi.

  10. Janishar said

    Hmmm..Achha hai..ye bhi achha hai..!!
    waise saath me vyaakhyaa hota to aur bhi achha hota..:P
    Try to write in Devanagari..tab jyada samajh me aayega..

  11. Kisalay said

    Gazz!

    Hindi me bhi maccha dete ho!
    Waise, Mera Hindi bhi kamzoor hai 😦 issliye critical comments ka to koi gunjaaish hi nahi hai 😛

    so enjoy, all the best for future posts!

  12. ronsin said

    mast hai bhai… dekho jyada nahi samjhe… naa hi zor daale… naa hi daalenge… tumko pehle hi bole the ki kavitayon ka pathan humse nahi ho paata jaldi… raahat ki saans li ki bhaavarth nahi likhna hai… 😀 bahut koshish karke padhe hain… aage bhi koshish karenge… kuchh nahi to tippani to kar hi denge… itna aatma vishwaas hai!!!

  13. hindihainhum said

    JANISHAR
    Devanagri se mujhe laga ki junta-janardan bhaybheet ho jaayegi! isiliye……..
    waise dher sara dhanyawaad…

  14. piyush said

    kuch macha kar kavita likhe ho bhai. padh kar kaafi acha laga. choti choti ghantnao ka atyant hi maarmik varnan kiya gaya hai.

  15. hindihainhum said

    KISALAY
    Dhanyawaadddddddddddd!
    Tumhaari Hindi bhi sudhar gayi hai! 😛
    Waise, u enjoy too… and all the best for reading future posts!!! 🙂

  16. hindihainhum said

    ROHAN
    Tumhaare aatm-vishwaas ka LOHA maante hain hum! 😛
    vishesh tippaniyon ke liye vishesh dhanyawaad. pathan to maatr ek bhao hai….sachchi khushi to upbhog mein hai……
    aap aage bhi aamantrit hain! 🙂

  17. hindihainhum said

    PIYUSH
    Dhanyawaad. gehraai tak sochne ke liye ek aur baar dhanyawaad, warna to kambabht waqt kiske paas hai??
    🙂

  18. ronsin said

    pichhle baar padhe to… sahi mein kam hi samjhe the… shaayad maan hi liye the ki nahi samajhna hai… abhi bahut time hai to dobara padhe… to bahut hi huha laga bhai!!! to soche ek aur comment to deserve karti hai ye kavita…
    aur haan… bhagwaan par wishwaas aur badh gaya hai… tum jaise GALAT aadmi se itni sahi kavita likhwa dete hain… sahi mein wo kuchh GOD hain… 😉 😛 😀

Leave a comment